Shahbano Khan
Founder
Shahbano khan Bhopal, Madhya Pradesh, India ki rahne vali hain..jinki dunyavi taleem Bhopal shehar main hui unhone D.Pharm, B.Com, MBA ,DISM (APTECH) kiya hai..1999 main shadi ke baad vo Dammam, Saudi Arabia chali gayi aur vahan Al Huda institute, jiski branch Dammam main thi ,se 'Taleem ul Quran' aur 'Tafheem e Deen' Course kiya jisme unhone Quran ka tarjuma ,tafseer, grammar, Tajweed padha..iske alawa Seerah, Qasasul Ambiya, Seerat e Sahaba , Fiqh etc kai books bhi padhi..inko padhne ke baad unhone deen ko aage pahonchane ke liye Roman urdu main books likhni shuru ki aur youtube par audio record karke upload karne shuru kiye..taki deen sab tak asaan zabaan main pahonche.
Shahbano Khan Quran ki tafseer ke saath Quran ko topicwise bhi padha rahi hain jisse logon main Quran ki understanding badhe aur vo yaad bhi rahe. Shahbano Khan ka maanna hai ki insan ko ek student hi bane rahna chahiye aur pori zindagi ilm hasil karte rahna chahiye aur use aage pahonchate rahna chahiye.